Friday 15 August 2014

By a Writer Missing his childhood



Bahut yaad aataa hai woh khula-lamba chabutraa,
Woh sardiyon ki khilli dhoop ,
Woh dhoop mein sookhte papad aur achaar ke marthbaan,
Woh dalaan ka jhoola ,woh amwaa ki tehani ,woh kachi kairiyaan,
Bahut yaad aataa hai.

Woh chabutarey ki dyodi per chidiyaaon ko bajare ke  daane chugaanaa , 
Woh ghaath lagaye billi ko door bhagana,
Bahut yaad aata hai.

Woh guzra zamana,
Woh baarishon mein chabutarey ki naaliyaan band ker usme nahana,
Woh chai –pakodon ki daawat udana,
Woh matke ki kulfi,woh kathey ka paan,woh meethe chooran ki pudiyaa,woh meethi supaari,
Woh laal hothon pe ek doosre ko chidhana,
Bahut yaad ata hai, 
Woh guzra zamana.

Woh dadi se do rupiyon ke liye zid per ad jana,
Woh gullak ki khanak per khushi se pagal ho jana,
Woh dadi ki lakdi ki kiwaad waali almaari,
Jo kisi bhanumati ke pitarey se kam nahi lagti thi,
Jisme se  nikaal ker dadi gari aur misri diya kerti thi,
Uss misri ka swaad,
Bahut yaad ata hai .

Woh teek dopahari mein sookhi galiyon mein daudana,
Poori dopahar aam , amrood  aur jaamun ke baagon mein khelna,
Woh ladna jhagadana,
Jhagad ke manana,
Bahut yaad ata hai,
Woh guzra zmana .

Thak ker jab sham ko waapas ghar aanaa ,to daadi ka laad ke saath dena,
Woh ghee lagi choolhe ki roti , woh namkeen ghar ki biloyi  chaach , woh safed makhan ke pinde,
Woh  sabzi aur saag,woh mitti ke choolhe ka woh saundhaa dhuaan,
Bahut yaad tata hai.

Woh garami ki raaton  ko  jab daadi  bahar ussi chabutarey per bistar laga deti thi,
Jinhe chandani raat ki narm roshni thande ker jaati,
Aur jab raaton ko usper letey  upar aasmaan ke sitarien dekhte- dekhte, jaane kab neend  aankho mein chali aati thi,
Ussi bistar ka  woh bichona, woh kambal,woh rui ka takiyaa,
Bahut yaad aataa hai .

Woh Gaon ,woh mandir ,woh ghanti ,wo khel , woh galiyaan  ,woh jhoolein, woh aam ,woh jaamun ,
Woh baag – bagichi , woh dost ,woh masti,
Bahut yaad aataa hai,
Woh guzra zamana ,
Bahut yaad aataa hai BACHPAN hamara.
                

No comments:

Post a Comment